Friday, 10 February 2012

Kabhi To


Har”Pal Ki Khushi Apki Yaad Me H
Humari Har Dua Apke”Sath Me He
Door”Rehkar Bhi Apko Yaad Krte He Hum
Zarur Koi Pyari Si Baat Aap Me Hai.
Jab Dil Udaas Ho Humse Baat Kar Lena,
Jab Dil Chahe Mulaqaat Kar Lena,
Rehte Hai Aapke Dil Ke Kone Me,
Waqt Mile Toh Talaash Kar Lena.
Apki Yaado Me
Apki Batao Me
Kabhi To Hm Bhi Nazar Aate Honge
Mana Ki Apko Waqt Nhi Milta
Fir Bhi Hme Soch Kar
Kabhi To Aap Muskurate Honge.
Kaisa ye ishq hai

Deepak: Pyarnama

Deepak: Pyarnama: Mere alfazon ko jhuth na samjhna, yaad aati ho bahut milne ki dua karna, jee raha hoon tumhara naam lekar, mar jau to bewafa na samajhna...

Pyarnama


Mere alfazon ko jhuth na samjhna,
yaad aati ho bahut milne ki dua karna,
jee raha hoon tumhara naam lekar,
mar jau to bewafa na samajhna.
Kaise kahe ki apna bana lo mujhe,
Bahon me apni sama lo mujhe,
Bin tumhare ek pal bhi katta nahi,
Tum aa kar mujhi se chura lo mujhe..
Har raat 1 dhun gungunati hai,
har phool se mehak zarur ati hai,
apke man me beshak hamara khayal tak na ho,
par hame to har waqt aapki yaad aati hai…
Majboor mohabbat jata na sake,
Zakhm khate rahe kisi ko bata na sake..
Chahato ki had tak chaaha use.
Sirf apna Dil nikaal kar use dikha na saka..

Dosti


Aapki Dosti Ko Ek Nazar Chahiye,
Dil He Beghar Use Ek Ghar Chahiye,
Bas Yuhin Saath Chalte Raho E Dost,
Yeh Dosti Humein Umar Bhar Chahiye.
`
Na Sathi Hai Koi, Na Humsafar Hai Koi,
Na Hum Kisi Ke, Na Humara Hai Koi,
Par Aapko Dekh Kar Keh Sakte Hai,
Ki Dost To Hamara Bhi Hai Koi…
`
Mushkilon Se Ghabrake Ab Jeena Nahi Chahte
Door Tumse Ho Kar Ab Rehna Nahi Chahte
Yun To Bahut Dost Aaye Is Zindagi Mein
Par Tum Jaise Dost Ko Khona Nahi Chahte..
`
Dosti Ki Gehrai Judai Mein Bhi Hoti Hai,
Baate To Hoti Rehti Hai.
Par Bina Baato Ki Dosti Jab Jinda Rahe,
Tabhi Usme Sachai Hoti Hai.
`
Koi Kehta Hai Dosti Nasha Ban Jaati Hai,
Koi Kehta Hai Dosti Saja Ban Jaati Hai,
Par Dosti Agar Sacchi Dil Se Karo Tho
Dosti Jeene Ki Wajah Ban Jaati Hai…