Naye Padosi
khabar nahi kya baat hai hamare mein jo hamare padosi aise mile jo na jaan paye
Har naye logo ki tarah humne kiya swagat,
per kismat ko kuch aur hi manjoor tha,
per kismat ko kuch aur hi manjoor tha,
humara friendship ka raasta badal gaya
aur shatruta ka vish fail gaya
aur shatruta ka vish fail gaya
Humne har tarah se naye logo ko apnana chaha
par sab ne dhakka hi maara.
par sab ne dhakka hi maara.
Jab jab makaan khali hua humne dimag badli,
ab nahi bolenge kabhi, ye maan kar rakh li.
ab nahi bolenge kabhi, ye maan kar rakh li.
Par wah re hamari sahan shakti ke kya kahne,
naye logon ke aate hi hum chale unse dosti karne
naye logon ke aate hi hum chale unse dosti karne
Ye kya, phir nirasha ne ki hamari swagat,
apna sa muh latkaye hum phir ghar ko aaye.
apna sa muh latkaye hum phir ghar ko aaye.
Ab phir se hai makan khali, par dil me phir hai umang,
abki baar shayad mile hume padosi jinke ho naye dhang
abki baar shayad mile hume padosi jinke ho naye dhang
ye kab tak chalega pata nai,per hum hamesa umeed rakhenge
logo ko khushaal banaynge,padosio ko help karenge aur bolenge
Happi Diwali!